Saturday, May 26, 2018

Her musings

Jo ho ek baar woh har baar ho aisa nahin hota,
humesha ek hi se pyaar ho aisa nahin hota.

Har ek kashti ka apna tajraba hota hai duniya mein,
safar mein roz hi manjdhaar ho aisa nahin hota.

Kahaani mein toh kirdaaron ko jo chaahe bana dijiye,
haqeeqat mein kahaani-kaar ho aisa nahin hota.

Kahin toh koi hoga jis ko apni bhi zaroorat ho,
har ek baazi mein dil ki haar ho aisa nahin hota.

Sikha deti hain chalna thokaren bhi raahgiron ko,
koi rasta sada dushwaar ho aisa nahin hota. !!

Din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi,
dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi.

Chand lamhon ko hi banti hain musawwir aankhen,
zindagi roz toh tasweer banaane se rahi.

Iss andhere mein toh thokar hi ujaala degi,
raat jungal mein koi shama jalaane se rahi.

Faasla chaand bana deta hai har patthar ko,
door ki raushni nazdeek toh aane se rahi.

Shehar mein sab ko kahan milti hai rone ki jagah,
apni izzat bhi yahan hansne hansaane se rahi. !!


()()()()(((

Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jaata,
jo beet gaya hai woh guzar kyon nahin jaata.

Sab kuchh toh hai kya dhoondhti rehti hain nigaahen,
kya baat hai main waqt pe ghar kyon nahin jaata.

Woh ek hi chehra toh nahin saare jahaan mein,
jo door hai woh dil se utar kyon nahin jaata.

Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha,
jaate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jaata.

Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai,
woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jaata. !!

No comments: